Header Ads

Baap by Raza Sirsvi Sb.

Din dhale jab karke mazdoori RAZA aata hai baap,
Dekhker haste hue baccho ko sukh pata hai baap.

Samne ankho k jis bete ke mar jata hai baap,
Lamha lamha zindagi bhar usko yaad aata hai baap.

Jane kitne khwab karte hain safar bachhe k sath,
Ghar se pehli baar jab school le jaata hai baap.

Umr bhar rahti hai us bete ke dil mein ek khalish,
Jab taraqqi dekhne se pehle mer jaata hai baap.

Jab numaya Qamyabi choome bete ky qadam,
Nazr dilwati hai maa sajde mein gir jata hai baap.

Zindagi bhar chalta rehta hai masheeno ki tarah,
Maut ki godi mein ek din thak ky so jata hai baap

Rote rote bus yahi kehta hai wo haye Husain,
Jab kabhi apne jawan bete ko dafnata hai baap.

Koi un bachhon se pooche kya hai shadi ka maza,
Biyah ki taarikh rakhker jinki mar jaata hai baap.

Roz-e-aashura bana deti hai maa saqqa humein,
Ek chota sa uthane ko alam lata hai baap.

Roke Zainab ne kaha baba bhara ghar lut gaya,
Jab shabe sham-e-ghareeba mein nazar aata hai baap.

Kya kahunga haal-e-Asghar pooch bathe jo Rabab,
Aage jaata hai kabhi peeche palat aata hai baap.

Mangne aati hai jab darbar mein Bagh-e-Fidak,
Ghamzada beti ko jaane kitna yaad aata hai baap.

Hone hi wali hai is shaam-e-ghareeba ki sahar,
Baazuon ko choomker beti ko samjhata hai baap.

Qaid khane mein hua kohram bachhi mar gayi,
Khwab mein jab sakeena ko nazar aata hai baap.

Qadr-o-Qeemat tab pata chalti hai Maa aor Baap ki... 
Jab KHUDA k fazl se insaan ban jata hai Baap... 


Ek bachche ki talab me chhorkar aaraam-o-chain... 
Jaane kis-kis dar pe Mannat maangne jaata hai Baap... 


Aisa lagta hai k jaise chal rahi ho kaainaat... 
Ghutniyo'n chalte hue bachche ko jab paata hai Baap...


Bastii-bastii,, gaao'n-gaao'n,, uffff talaash-e-rizq me... 
Dar-ba-dar shaam-o-sehar phirta nazar aata hai Baap... 


Har khushii ko yun jakad leti hai zanjeer-e-moaash... 
Muskuraane ko jawaanii me taras jaata hai Baap... 


Goud k paalo'n ka mustaqbil banaane k liye... 
Waqt ki mandii me saste daam bik jaata hai Baap... 


Hath khaali,, jeb khaali,, bhooke bachcho'n ki taraf... 
Kham kiye gardan pareshaa'n haal ghar aata hai Baap...


Ghaltiyaa'n karta hai jab bachcha to usko maar kar... 
Dil hi dil me jaane kitni der pachhtata hai Baap... 


Zindagii saari khapaa deta hai bachcho'n k liye... 
Apne Maa aor Baap ki khidmat na kar paata hai Baap... 


Kya sahi hai kya ghalat,, bachcho'n ki khushiyo'n k liye... 
Jo na karna chahiye tha,, wo bhi kar jaata hai Baap...


Sehat-o-taaleem-o-shaadi kaise ho aulad ki...?? 
Fikr k shamshaan me chup-chaap jal jaata hai Baap...


Waqt se pehle bichhad jaaye shareek-e-zindagii... 
Jo faraaezz Maa k hain,,, wo bhi bajaa laata hai Baap... 


Har tamanna,, har khushii,, kul hasrate'n,, har aarzoo...
Apne bachcho'n ki khushii k naam kar jaata hai Baap... 


Dekhta hai khwaab jinki zindagii k waaste... 
Unke hi hatho'n na jaane kitne dukh paata hai Baap... 


Poorii karne khwaahishe'n apne jigar k chain ki... 
Apni saari zindagii qurbaan kar jaata hai Baap... 


Zindagii k wazn dhote-dhote apni pusht pr... 
Khush rahen bachche isii dhun me chala jaata hai Baap... 


Lamha-lamha waqf kar k goud k paalo'n k naam... 
Hath khaali daar-e-faanii se chala jaata hai Baap...

Umr bhar ki saari mehnat ka sila aulaad se... Faateha,, bass Faateha,, bass Faateha paata hai Baap............!!!

Ye azadari ka sadqa hai jo barzakh mein RAZA,
Majlison mein rote hain hum aur jaza paata hi baap......

- RAZA SIRSIWI

3 comments:

  1. Wah Sir Wah.... literally mery pas wo alfaz he nahe han jis say apki is Khubsurat Kalam ki tareef ki jai.

    ReplyDelete
  2. Alhamdolillah.bahut zabardast nazm kaha hai Raza sirsivi sahab aapne.

    ReplyDelete

Powered by Blogger.