Header Ads

HAYE PANI NA MILA.- Nauha - Anjuman e Naqviya (Allahabad)


Aye zameene karbala kaisi hogayi jafa,
haye pani na mila haye pani na mila.
Mustafa k lal ka zere khanjar tha gala, 
haye pani na mila....
*************************************


Haye halke shah par wo churi chalti huyi,

Ek behen k qalb se aah nikalti huyi,
Zarra zarra garm tha khoon me doobi thi fiza..
Haye pani na mila,haye pani na mila.
*************************************


Ahlybait e Mustafa sakhtiya sahte rahe,

Shah ke bache dambadam al'atash kahte rahe,
Ka'aba sham e karbala zulm badhta hi raha..
Haye pani na mila,haye pani na mila.
*************************************


Ek taraf Ahle Jafa ek taraf pyase Hussain,

Lashe uthate rahe dashte wagha se Hussain,
Sara kunba Shah ka qatl pyasa ho gaya..
Haye pani na mila,haye pani na mila.
*************************************


Shah k Alamdar k nahar pe bazu kate,

Rahgaye bache sabhi hatho me quze liye,
Mashk bhi chidi gai Sher bhi mara gaya..
Haye pani na mila,haye pani na mila.
*************************************


Ran me aya tashna jan jaise hatho pe Quran,

Tashnakami ka nishan khushk hoto pe zuban,
Hurmula ka teer tha or Asghar ka gala..
Haye pani na mila,haye pani na mila.
*************************************


Khoon me doobi huyi deen ki tasveer hai,

hatho pe Shabbir k lashaye besheer hai,
Dekhiye kya haal hai Madar e Besheer ka..
Haye pani na mila,haye pani na mila.
*************************************


Dar pe khaimagah k jab Sakina agayi,

Khooni manzar dekh kar dard se kahne lagi,
kyu mere Besheer par teer chalaya gaya..
Haye pani na mila,haye pani na mila.
*************************************
Sayyad e Sajjad bhi rote rahe gham kia,
Pani jo dekha kabhi pyas ka matam kia,
Yaad wo QAYAM rahi gham na kabhi kam hua..
Haye pani na mila,haye pani na mila.
*************************************
*************************************

No comments

Powered by Blogger.