Zindagi Ka bharosa nai - Lyrics
Zindagi ka bharosa nahin, Zikr e Haider kiya kijiye,
Aqbat bhi sanwar jaye gi, yeh fariza aada kijiye.
Lakh sajde kiye jaye, phir bhi bakhshish na ho payegi,
Yeh Muhammad ka farman hai, inkay ghar say wafa kijiye.
Mar bhi jayein to martay nahin, hum to kasrat say darte nahin,
Kufr hai gar wilaye Ali, hum ko kafir kaha kijiye.
Dar pay aa ker yeh Shabir kay, aik rahib nay ki iltaja,
Main sawali houn Shah e Zaman, mujko baitay aata kijiye.
Bughz e Haider hai bugz e Nabi, yeh najasat hai sab say bari,
Jo Ali say adawat rakhay, dur us say raha kijiye.
Do fariqain main aik hi, haq pay hota hai aie dosto,
Koun Jang e Jamal main magar, haq pay tha faisla kijiye.
Ya Ali mukhtar hain, ambiya ke madad gar hain,
Jitnay momin hain uqda kusha, unki hajat rawan kijiye.
Aal e Ahmed kay zakir muhib, zikr ghairoon ka kertay nahin,
App shayer hain Imran ke, maqabat he likha kijiye.
Zindagi ka bharosa nahin, Zikr e Haider kiya kijiye
Aaqbat bhi sanwar jaye gi, yeh fariza ada kijiye.
Post a Comment