Header Ads

Maa by Raza Sirsvi Sb.

Maut ki Aghosh me jab thak k So jati Hai maa,
tab kahin jakar RAZA thoda sukoon pati hai maa.
××××××××××××××××××××××××××××××××××

Fikr me bacho ki kuch is tarah ghul jati hai maa,
Nau Jawan hote hute budhi nazar ati hai maa.
××××××××××××××××××××××××××××××××××

chahe hum khushio me maa ko bhool jaye dosto,
jab musibat sar pr padti hai to yaad ati hai maa.
××××××××××××××××××××××××××××××××××

pyar kahte hai kise aur mamta kya cheez hai,
koi un bacho se puche jin ki mar jati hai maa.
××××××××××××××××××××××××××××××××××

apne pahlu me litakar roz tote ki tarah,
ek barah panch  Chaudah humko ratwati hai maa.
××××××××××××××××××××××××××××××××××

ghar se jab pardes jata hai koi noor e nazar,
hath me quran leke dar pr ajati hai maa.
××××××××××××××××××××××××××××××××××

yaad ata hai Shab e Ashoor ka Kadiyal jawan,
jab kabhi uljhl huyi zulfo ko suljhati hai maa.
××××××××××××××××××××××××××××××××××

jab talak ye hath hai hamsheer be pardah na ho,
ek bahadur ba wafa bete se farmati hai maa.
××××××××××××××××××××××××××××××××××

apne gham ko bhool k rote hai jo Shabbir ko,
unke ashqo k liye jannat se ajati hai maa.
××××××××××××××××××××××××××××××××××

sabse pahle jaan dena fatema k lal par,
raat bhar Aun o Mohammad ko ye samjhati hai maa.
××××××××××××××××××××××××××××××××××

Fatima k lal par qurban karne k liye,
bandh kar sehra jawa'n bete ko le ati hai maa.
××××××××××××××××××××××××××××××××××

laashe qasim par kaha zinda rahi to aungi,
abto suye sham dulhan ko liye jati hai maa.
××××××××××××××××××××××××××××××××××

Allah Allah ittehad e Sabr e Laila o Hussain,
Baan ne khaichi seena, seene ko sahlati hai Maa.
××××××××××××××××××××××××××××××××××

ye bata sakti hai hum ko bas Rabab e Khastatan,
kis tarah bin doodh k bachcho ko behlati hai Maa.
××××××××××××××××××××××××××××××××××

shimr k khanjar se ya sukhe gale se puchiye,
maa idhar muh se nikalta hai udhar aati hai maa.
××××××××××××××××××××××××××××××××××

aisa lagta hai kisi maqtal se ab bhi waqt e asr,
ek bureeda sir se "Pyasa Hoon" sada aati h maa.
××××××××××××××××××××××××××××××××××

jab kabhi thokar lagi aur mooh k bal bachcha gira,
Ya Ali Maula Madad kahti huyi Aati hai maa.
××××××××××××××××××××××××××××××××××

farz jab awaz deta hai to aansu pochkar,
chhodh kar bachcho k lashe Sham ko jati hai maa.
××××××××××××××××××××××××××××××××××

teer khakr muskurata hai jo ran me be zuban,
marhaba kahti huyi sajde me gir jati hai maa.
××××××××××××××××××××××××××××××××××

Samne ankho k nikle gar jawan bete ka dam,
zindagi bhar sar ko deewaro se takrati hai maa.
××××××××××××××××××××××××××××××××××

shukriya ho hi nai sakt kabhi maa ka ada,
marte marte bhi dua jeene ki de jati hai maa.
××××××××××××××××××××××××××××××××××
××××××××××××××××××××××××××××××××××

No comments

Powered by Blogger.