Header Ads

Shabeehe Payambar Akbar - Lyrics

Shabeeh e payambar akbar
Zibaah pa maidaan

Ye sibt e payambar ki laila ki kamaayi hai
Kya maadar e akbar ne takdeer ye paayi hai
Khaymo me bapa matam,
Ai mere jawa akbar
Ziba paa maidaan.

wo naazo ka paala hai atthaara baras waala
Zainab ka dulara hai atthara baras waalaa
Khaimo me bapa matam
Ai mere jawan akbar
Zibaa pa maidaan

Socha bhi na tha maa ne ye din kabhi aaega
Marne k liye akbar maidan me jaaega
Khaimo me bapa matam
Ai mere jawa akbar ziba pa maidan

Khaaega kaleje par jis waqt sina akbar
Ye teri khabar sunke mar jaaegi maa akbar
Khai mo me bapa matam
Ai mere jawa akbar ziba pa maidan

Jaata hai jo maqtal me wapas wo nahi aata
Taqdeer dikhaaye na akbar ka kahi laasha
Khaymo me bapa matam
Ai mere jawan akbar ziba pa maidn

Akbar teri shaadi ka armaan tha khwahar ko
Poshaakh shaahani wo pehnaaye baradar ko
Khaimo me bapa matam
Ai mere jawan akbar,ziba pa maidn

Teere hai nakahat hai aur sibt e payambar hai
Farzand ki mayyat hai aur sibt e payambr hai
Khaymo me bapa matam
Ai mere jawan akbr ziba pa maidn

Phir kaun bachaega karti thi buka madar
Cheenenge laeen aake jab sar se mere chaadar
Khaymo me bapa matam
Ai mere jawa akbar ziba pa maidan

Akbar ne dam e rukhsat jeene ki duaaen li
Aur kaapte haatho se zainab ne balaaye li
khaymo me bapa matam
Ai mere jawa akbar ziba pa maidan

Beta na kisi ka yu mar jaae jawaani me
Matam ki sadaaye hai darya ki rawaani me
khaymo me bapa matam
Ai mere jawa akbar ziba pa maidan

zehra ki inayat hai padhta hai naqi nauha
Ham shakl e payambr ka shabbir ko hai pursa
Khaymo me bapa matam
Ai mere jawa akbar ziba pa maidan

miljaaye jo akbar ki tehreer mujhe mehshar
Din raat padhu nauha ye khaakh pe sar rakhkar
Khaymo me bapa matam
Ai mere jawa akbar ziba pa maidan

13 comments:

  1. Hay hay Ali Akbar best bohat😭😭😭

    ReplyDelete
  2. Salam ya hussain 🏴🏴🏴🏴🏴🏴🏴🏴🏴🏴🏴🏴🏴🏴🏴🏴🏴🏴🏴🏴🏴🏴🏴🏴🏴😭😭😭😭😭😭😭😭😭😭😭😭😭😭😭😭😭😭😭😭😭😭😭😭😭😭😭😭😭😭😭

    ReplyDelete
  3. Labbaik ya hussain

    ReplyDelete
  4. Labbaik ya husain

    ReplyDelete
  5. So. Prevuous. Noha
    😁😁😁😁😍😍

    ReplyDelete

Powered by Blogger.