Header Ads

Ek Dukhiya Bimar Padi Hai, Sara Ghar Pardes Me Hai - Raunaq Safipuri

Ek dukhiya bimar padi hai, Sara Ghar pardes mein hai,
Jagati Aankhen bistar per hai aur nazar pardes mein hai

Jismein guzra Sara Bachpan, soona-soona hai vo angan
Khamoshi ka pehra laga hai ghar ka ghar pardes mein hai

Kaisi khiza aayi hai Chaman mein, sannata harsu hai vatan mein
Aisa lagta hai  Baba Sara Nagar pardes mein hai

Ghut ghut kar jina kya jina, kaise likhun zinda hoon baba
Jism madine mein hai Mera jaan magar pardes mein hai

Kisko sunaun apni kahani, Aankhen barsati hai Pani
Kaise sukun paye woh dukhtar jiska pedar pardes mein hai

Yad hamen bhi Karta hoga, ab To wo gutniyon chalta hoga
Kuchh uske bare mein bhi likhna Jo asar pardes mein hai

Bhai Akbar se yah kahna, jab wo bandhe sar per sehra
Neg bahan ko shaadi ka bhejen bhai agar pardes mein hai

Tumto Bani hashim ke qamar, ho mere chacha Bus itna Bata do
Kaise ujala hoga Ghar mein Chand agar pardes mein hai

Baba hamen jab Tum khat likhna, yeh bhi likhna kaisi hai kubra
Yad bahut aati hai uski Jo khwahar Pardes mein hai

Baba ki pyari Raj dulari, jiski baten pyari pyari
Meri bahan Masoom sakina vah bhi Magar Pardes mein hai

Roko qalam ab "Raunak" apna, khatm karo Leelah yeh noha
Socho zara kya guzregi Dil per apna agar Pardes mein hai

No comments

Powered by Blogger.