Aye Shahe Bewatan Alvida Alvida - Alvidayi Nauha - Anjuman E Naqviya, Allahabad
AYE SHAHE BEWATAN ALVIDA ALVIDA
POET: MAULANA SYED AMIR UR RIZVI SB. (ALLAHABAD, INDIA)
TARZ: SHEESH RIZVI
RECITED BY: ANJUMAN E NAQVIYA, DARIYABAD, ALLAHABAD, INDIA
Aye Shahe Bewatan Alvida Alvida
Ibne Khaibar Shikan Alvida Alvida
Jo Tha Rone Ka Haq Waise Ro Na Sake,
Aye Shahe Bekafan Alvida Alvida
Ghar Ki Raunaq Gayi Khatm Majlis Huyi,
Jaane Shahe Zaman Alvida Alvida
Zeenat E Shahnashi Aaj Rukhsat Huyi,
Dil Me Hai Ek Chubhan Alvida Alvida
Zainab E Khasta Jaa'n Binte Jaane Nabi,
Shahe Dee Ki Bahan Alvida Alvida
Aye Qateel E Jafa Ibne Mushkil Kusha,
Aye Aseer E Mehan Alvida Alvida
Jiski Mayyat Dobara Nikali Gayi,
Aye Wo Gunchadahan Alvida Alvida
Jiski Mayyat Ko Tukdo Me Banta Gaya,
Ghazi E Khastatan Alvida Alvida
Jiska Pamal Maqtal Me Lasha Hua,
Aye Wo Ibne Hasan Alvida Alvida
Karbala Ke Shaheedon Aseeron Ho Tum,
Rashq E Charkhe Kohan Alvida Alvida
Dekhkar Lashe Qasim Ko Boli Dulhan,
Aye Yateeme Hasan Alvida Alvida
Aaj AMIR Hai Majlis Me Mehshar Bapa,
Kehte Hai Mardozan Alvida Alvida
Post a Comment