Hazrat Ali Asghar (A.S.) Ki Shahadat – Sawal O Jawab Nauha | Zair Allahabadi | Anjuman E Naqviya, Allahabad
Sawal – Jawab Nauha
Poet: Sarkar Meer Sb. (Zair Allahabadi Marhoom)
Founder Anjuman E Naqviya, Allahabad
1. Sawal: Run mein jo istegaasa kiya Shah ne kya hua?
Jawab: Jhule se Sheerkhwar ne khud ko gira diya.
2. Sawal: Kya khaima-e-Hussain mein iska hua asar?
Jawab: Ahle Haram ke rone se kohraam mach gaya.
3. Sawal: Maidaan mein kis liye use khaime se laye Shah?
Jawab: Paani pilaane laye the Sultane Karbala
4. Sawal: Asghar ka haal sun ke kaha kya Hussain ne?
Jawab: Bole ke lao mujhko do yeh mera laadla.
5. Sawal: Paani nahin tha kya Shah ke khayaam mein?
Jawab: Khaime mein teen roz se paani ka qahat tha.
6. Sawal: Seraab Maa Ne kyun na kiya doodh se use?
Jawab: Soze atash se doodh bhi to maa ka khushk tha.
7. Sawal: Kis tarah Shah laye the us nau-nihaal ko?
Jawab: Haathon pe le ke aur odhaye hue aba.
8. Sawal: Dekha jo Shah ko jaate hue kya hua gumaan?
Jawab: Samjhe ye log laate hain Quran Shah-e-Huda.
9. Sawal: Sarwar ne kya kiya saf-e-aada mein jab gaye?
Jawab: Daman hata ke chaand sa chehra dikha diya.
10. Sawal: Kuffar ko jo dekha kaha kya Hussain ne?
Jawab: Paani pila do pyaasa hai yeh mera laadla.
11. Sawal: Phir kya kaha Hussain ne us Sheerkhwar se?
Jawab: Bole ki paani maang lo beta tumhi zara.
12. Sawal: Kis tarah Shah ka hukm baja laya wo zubaan?
Jawab: Sookhi zubaan honton pe woh pherne laga.
13. Sawal: Is waqaye ka kya hua afwaaj par asar?
Jawab: Haiwaan bhi is pe ro diye, insa'n ka zikr kya.
14. Sawal: Phir iske baad kya hua yeh to batayiye?
Jawab: Nikla safon ko cheerta ek dushman-e-Khuda.
15. Sawal: Saf se nikal ke kya kiya us naab-kaar ne?
Jawab: Teero-kamaan ka jaanib-e-Besheer rukh kiya.
16. Sawal: Tab uske baad kya kiya us teer-e-zulm ko?
Jawab: Masoom ke gale ki taraf kar diya riha.
17. Sawal: Dekha jo teer aate kiya kya Sagheer ne?
Jawab: Gardan humak ke saamne ki muskura diya.
18. Sawal: Phir kya hua jo teer-e-sitam kha chuka Sagheer?
Jawab: Kausar pe apne paas Ali ne bula liya.
19. Sawal: Phir sar utha ke kya kaha hasrat se Shah ne?
Jawab: Bole qabool ho mera hadiya yeh ay Khuda.
20. Sawal: Khoon halq se baha to kiya kya Hussain ne?
Jawab: Mazloomiyat ke chehre ka ghaza bana liya.
21. Sawal: Kya bole mal ke chehre pe masoom ka lahu?
Jawab: Bole ke pesh-e-Haq isi surat se jaaunga.
22. Sawal: Laashe ko kya kiya mere bekas Imam ne?
Jawab: Nanni si qabr khod ke madfoon kar diya.
23. Sawal: Maula ne dafan kar diya Asghar ko kis liye?
Jawab: Paamaal laash karna sake taaki atqiya.
24. Sawal: Sunte hain qabr khod ke sar bhi qalam kiya?
Jawab: Haan sach hai uske sar ko bhi tan se juda kiya.
25. Sawal: Bano ke saamne gaye kis tarah se Hussain?
Jawab: Zair nigah neeche thi, sar tha jhuka hua.
Hazrat Ali Asghar (A.S.) Ki Musibat Ko Bayan Karta Ek Dard Bhara Sawal-O-Jawab Nauha
Karbala ki tareekh mein Hazrat Imam Hussain (A.S.) ke chhe maheene ke masoom farzand, Hazrat Ali Asghar (A.S.) ki shahadat insaniyat ke liye sabse dardnaak waqia hai. Pyaas se tadapte ek masoom bachche par teer chalana Yazidi zulm ki inteha thi. Isi azeem musibat ko ek anokhe andaaz mein pesh karta hai ye Sawal-O-Jawab Nauha, jise mashhoor shayar aur sozkhwan Janab Zair Allahabadi Sahab, Founder of Anjuman E Naqviya, Allahabad (India) ne takhleeq kiya hai.
Ye nauha sawalon aur jawabon ki shakl mein Karbala ke us manzar ko zinda karta hai jab Imam Hussain (A.S.) apne sheerkhwar bete Hazrat Ali Asghar (A.S.) ko maidan-e-Karbala mein lekar aaye aur dushmanon se us masoom ke liye chand qatre paani talab kiye.
Nauhe ke har sawal ke saath ek naya manzar saamne aata hai—Ahle Haram ka rona, Imam Hussain (A.S.) ka dard, Hazrat Ali Asghar (A.S.) ki pyaas, Hurmala ka zulm aur aakhir mein masoom ki shahadat. Is andaaz-e-bayan ne is nauhe ko azadaron ke darmiyan ek khaas maqam ata kiya hai.
Is Nauhe Ki Khaas Baaten
- Sawal-o-Jawab ke anokhe andaaz mein likha gaya nauha.
- Hazrat Ali Asghar (A.S.) ki shahadat ka pur-asar aur jazbati bayan.
- Muharram aur Majalis-e-Aza mein padhne ke liye maqbool kalaam.
- Karbala ke paigham – sabr, qurbani aur insaniyat – ko bayan karta hai.
Bani E Anjuman E Naqviya, Jb. Zair Allahabadi Sahab Marhoom ka yeh amar kalaam,Takreeban 80 saalon se 9-10 Muharram ki majalison mein pur-aqeedat andaaz mein padha ja raha hai aur aaj bhi apni roohani asar angezi aur jazbati paigham ke saath azadaron ke dilon ko mutasir karta hai. Is nauhe ki video peshkash dekhne aur sunne ke liye neeche diya gaya YouTube link zaroor dekhein.
Ya Hussain (A.S.) | Ya Ali Asghar (A.S.)


Post a Comment