Ali Waley Jahan Baithe Wahi Jannat Bana Baithe -- Raza Sirsvi
Faqeeron ka bhi kya chahe jahan basti basa baithe,
Ali waley jahan baithe wahan jannat bana baithe.
Faraz e dar ho makhtal ho zindan ho ki sehra ho,
Chali ishq e Ali ki shamma aur parwane aa baithe.
Koi mausam koi bhi waqt koi bhi ilaqa ho,
Jahan zikr e Ali chcheda waha diwane aa baithe.
Ali walon ka marna bhi koi marne me marna hai,
Chale apne makan se aur Ali k dar pe ja baithe.
Idhar rukhsat kia sabne udhar aye Ali lene
Yahan sab ro rahe the hum wahan mehfil saja baithe.
Abhi mai qabr me leta hi tha ek noor sa phaila,
Meri bali pe aakar khud Ali e Murtaza Baithe.
Ali naam ki mehfil saji shahr e khamosha me,
Hai jitne ba wafa wo sabke sab mehfil saja baithe.
Nizamat k liye maula ne khud meesam ko bulwaya,
Wo lahja tha ke sab danton tale ungli daba baithe.
Ye kaun aya ki is taqwal me sab Ambiyan uthe,
Na baithega koi tab tak na jab tak Fatema baithe.
Ali walon k marne ka bas itna sa afsana,
K jaise koi masjid se azakhane me ja baithe.
Ali walon k naron ne aisa sama bandha,
Ki khud maula bhi apne nam ka nara laga baithe,
Jazakallah salamat rahein
ReplyDelete