Header Ads

Qaseeda-e-IMAAM HASAN (a.s) by Mohsin_Naqvi

Mere qalam ne kahan taraasha hai aaj tkk mahjabeen aisa...
Ye lauh-e-mahfooz k mataalib bhi jaanta hai,, zaheen aisa...
Mere tasawwur ki saltanat me kahan hai mehr-e-mubeen aisa...
Jahaa'n me shaaid na khalq ho phir jameel aisa,, haseen aisa...
.
Meri mohabbat ka gulsitaa'n hai,, meri raza ka chaman yehii hai...
Dil-o-nazar me basa lo isko,, ALI ka beta HASAN yehii hai.....!!
.
.
Yehii to hai YUSUF-e-Imaamat,, Dilo'n ki dhartii ka Shahzaada...
Mera tahammul,, mera tajammul,, mera tadabbur,, mera iraada...
Mera takhayyul,, mera tasawwur,, mera taqaddus,, mera libaada...
Khayaal zaree'n,, mizaaj saada,, nigaah gehrii,, jabee'n kushaada...
.
Adaa me shokhii,, haya me rakhshandagii,, nigaaho'n me tamkanat hai...
Suno Imaamat ki saltanat me yehi walii-ahad-e-saltanat hai.....!!
.
.
Ye amn-e-aalam ka Shaahzaada,, karam me Sultaa'n-mizaaj hoga...
Hawa hifaazat karegi iski,, ye wo munawwar siraaj hoga...
Meri zaroorat,, tera sahaara, zameer ki ehtiyaaj hoga...
Dil-e-azeeza'n to khair kya hai,, adoo pe bhi iska raaj hoga...
.
Ye khalq-e-Paighambarii ka waaris,, qazaa se yun inteqaam lega...
K dushmano'n k muqaable me qalam se parcham ka kaam lega.....!!
.
.
Ye khud bhi mojiz-numaa hai iski adaa me aks-e-Payambarii hai...
Isii k hoto'n ki narm jumbish ghuroor-e-auj-e-sukhanwarii hai...
Teri tabeeyat ka sabr iski nazar ka ejaaz-e-sarsarii hai...
Isii k rang-e-Qabaa se kusht-e-khayaal-e-insaa'n harii-bharii hai...
.
Ye wo anaa-mastt hai jo faaqa-kashii me azmat ka taaj lega...
Ye wo jarii hai k dushmano'n se banaam-e-sulah khiraaj lega.....!!
.
.
BATOOL-ZAADA,, ALI ka Beta,, NABI ka noor-e-nazar yehii hai...
Har ek tamanna ka baab-e-aakhir,, har ek dua ka asar yehii hai...
Qaraar-e-qalb-e-Malaaika hai,, sukoon-e-rooh-e-bashar yehii hai...
Sha'oor-e-Wahdat k bahr-e-amwaaj ka haqeeqii gohar yehii hai...
.
Nijaat ka gurr jo seekhna hai,, to sirf ye baat jaan lena...
Khayaal-e-Khuld-e-Baree'n se pehle,, HASAN ko Sardaar maan lena.....!!

No comments

Powered by Blogger.