Header Ads

Hamari Sakina Ko neend agayi hai

Ye kahti thi qabr e Sakina pe madar,
Hamari sakina ko neend agayi hai
*******************************
Andhero k zinda'n me thi beqarari,
Na izhar karti thi kuch gham ki mari,
Ajal ne gale se lagaya jo badhkar,
Hamari sakina ko neend agayi hai..
*******************************

Na raato ko soti thi, neend ud gai thi,
Musalsal kai roz se ro rahi thi,
Khuda jane chain agaya aj kyukar,
Hamari sakina ko neend agayi hai.
*******************************

Thi pusht uski zakhmi lahu jam gaya tha,
Wo kurta lahu me jo chipka hua tha,
Wahi khoon bhara aj kurta pahan kar,
Hamari sakina ko neend agayi hai.
*******************************

Sakina to sooye jina chal basi thi,
Munawwar sada thi magar mamta thi,
Yahi kahke maa ro rahi thi lahad par,
Hamari sakina ko neend agayi hai
*******************************

Ye kahti thi qabre sakina pe madar
Hamari sakina ko neend agayi hai
*******************************
*******************************

No comments

Powered by Blogger.