Na bhool kar bhi kabhi tum kisi ki baat karo
Na bhool kar bhi kabhi tum kisi ki baat karo,
Ali ka Zikr karo bas Ali ki baat karo
****************************************

kisi ka nafs kisi ka wasi kisi ka kafi,
ye sab sifaat ho jisme usi ki baat karo.
****************************************
ye sab sifaat ho jisme usi ki baat karo.
****************************************
farishto kaisa sawaal o jawaab turbat me
ab aa gaye ho to baitho Ali ki baat karo
*****************************************

Hai waqt nazaa ka baali pe aye hai maula,
Are kaha ki maut bas ab zindagi ki baat karo.
*******************************************

lehad me meri andhera ho ghair mumkin hai,
jahaan Ali ho waha'n roshni ki baat karo
*******************************************
jahaan Ali ho waha'n roshni ki baat karo
*******************************************
Samjh me aa na sakega kabhi Ali ka muqam,
Na is tarah kabhi diwangi ki baat karo.
****************************************
Na is tarah kabhi diwangi ki baat karo.
****************************************
Wo baat ek hai ki kuch farq hi nai padta,
Khuda ki baat karo ya Ali ki baat karo.
****************************************
Khuda ki baat karo ya Ali ki baat karo.
****************************************
ba waqt e nazaa kahunga me momino se saeed,
nikal raha hai mera dum Ali ki baat karo.
****************************************
nikal raha hai mera dum Ali ki baat karo.
****************************************
شاعر کا نام بتا دیں بھائی جان
ReplyDeleteSayeed Shaheedi from Hyderabad Deccan
ReplyDeleteMashallah Ali Ali A'S
ReplyDeleteThe last verse is " ba waqte nazha kahunga Rasheed se mei Saeed, nikal raha hai mera dum Ali ki baat karo. "
ReplyDeleteमाशाल्लाह. Jazak Allah
ReplyDelete