Jab Khuda Ko Pukara Ali Agaye (Shaheed Sibte Jafar)- Lyrics
Jub Khuda Ko Pukara Ali (A.s.) Aagaie,
jab Ali agaye zindagi Aagaie,
Zindagi Bandagi Raushani Aagai,
Raushni Aagai Aagai Aagai
************************************
Maut Inke Muhibbho Ko Aati Nahi,
Aa Bhi Jaye To Phir Bach Ke Jaati Nahi
Maut Ka Khatar Maut Se Kya Hai Dar,
Is Se Bach Na Bhi Kya Aagai Aagai
************************************
Teri Masnad Pe Ghairon Ko Bithla diya,
Warise Mustafa Mazhar E Kibriya
Tu Ali (A.s.) O Wasi O Wali (A.s.) Hi Raha,
Manzilat Me Teri Kya Kami Aagaie
************************************
Hum Ke Sarsar Ishk O Tawalla Me The,
Jaante Hi Na The Nafraton Dushmani
Yeh Tabarrah Bhi Wallah Kya Cheez Hai,
Hum Ko Aghiyar Se Dushmani Aagaie
************************************
Maslak E Ishk Me Maangna Aaib Hai,
Mai Bhi Khamoosh Hun Woh Bhi Khamosh Hai
Unko Sub Hai Khabar Isliye Chup Hun Mai,
Kya Hua Aankh Me Gar Nami Aagaie
************************************
Khums Dena Mawaddat Ki Ek Shart Hai,
Aur Na Dena Bhi Misle Fidak Hai Gunah
Hak Ke Saadat Zehra (S.a.) Ke Makrrooz Se,
Jub Tabarra Suna To Hasi Aagai
************************************
Kyun Na Roie Woh Kismat Ko Apni Sada,
Jin Ka Pura Mukaddar Hai Lanat Zada
Jin Ki Kismat Me Apne Hi Aamal Se
Binte Ahmad (S.a.w.w.) Ki Naarazgi Aa Gai
************************************
Sura E Aale Imran Bhi Hai Gawah,
Misle Kausar Hui Aal Unko Ata
Woh Jo Kehte The Abtar Nabi Ko Mere
Unki Kismat Me Hi Abtari Aagai
************************************
Ishk E Haidar Me Phirte The Shaam O Sahar,
Unke Maddah Hai Sare Jin O Bashar
Unki Aawargi Ka Safar Dekh Kar,
Zahn Me Fikr E Aawargi Aagai
************************************
Shairi Ki Sharait Bata Bhi Gaie
Aur Mai E Ishk E Haidar Pila Bhi Gaie
Sibte Jafar Mai Kurban E Ishk Ke
Ibne Jaafar Ko Bhi Shairi Aagai
************************************
************************************
Post a Comment