Rahta hai jo zamane me Haider se door door
Rahta hai jo zamane me Haider se door door,
Hoga baroze hashra wo Payambar se door door.
Tum khusk sangrezo se kya faiz paoge,
Qatro pr mar rahe ho samandar se door door.
Aise bhi soorma the Nabi ki sipah me,
Phirte rahe alam liye khaibar se door door.
Ghar me saja liya hai azakhana e Hussain,
Ab gardishe rahengi mere ghar se door door.
Pani pila sake na jo nam e hussain pr,
Honge baroze hashr wo kausar se door door.
Post a Comment