Aj bhi Zainab ki Ati Hai Sada Bhai Hussain (as)
aaj bhi zainab ki aati hai sada bhai hussain
tera chehra teri aankhein bhool kab payi hussain
chalte naaqe se giraya khud ko jalti rayt par
ghutniyo ke bal mai teri laash tak aayi hussain
bas mai ghabrayi thi khanjar tujhpe chalta dekh kar
phit kisi mushkil may ghir kar mai na ghabrayi hussain
kaun tha jo marne walon may nahi tha khubaru
bhoolne baithi to kis kis ki na yaad aayi hussain
beh rahe thay aankh se aansu teri ruqsat ke waqt
phir koi aansu na tapka aankh pathrayi hussain
haath may kooze liye sab aasman takte rahe
abr ne ek boodh pani ki na barsayi hussain
door uftada safar se laut kar maine "naved"
thanda pani jab piya bas teri yaad aayi hussain
Post a Comment