Header Ads

Tum ne kamal, Abid e Beemar (A.S), kar dia

“Tum ne kamal, Abid e Beemar (A.S), kar dia;
Kitna buland sabr ka maiyar kr dia.
Khushi mili bhi agar koi ba'ad e Karbala,
Honton ne muskarnay se inkar kar dia.”
*****************************************

“Daita ho aseeri men jo Paigham-e-Rihai,
Tareekh men aisa koi qaedi bhi kahan hai.
Baazaar men Abid (A.S) ko guzartay huey dekho,
Zanjeer ki jhankaar bhi Akbar (A.S) ki azaañ hai.”
*****************************************

“Zangeer toot jayegi kehtay hi YA ALI (A.S),
Darbaar dekh ley ga ke “MUKHTAR” (R.A) kaun hai;
ABID (A.S) ka wo jalal tha darbaar e Sham men,
Hakim ye poochta raha beemar kaun hai.”
*****************************************

“Darbar main Yazeed ko hizian hogaya,
Khutba suna to kufur pareshan hogaya;
Sunkar azaan Syed e Sajjad (A.S) ne kaha,
Dekho hamari fatah ka ailaan hogaya.”
*****************************************

"Nikhray huay kirdar ka Qur'an hai Abid (A.S),
Sar chashma-e-Deen, azmat-e-Iman hai Abid (A.S);
Taqdeer-e-Ali (A.S), qismat-e-Imran (A.S) hai Abid (A.S),
Islam ki tareekh ka unwaan hai Abid (A.S)." *****************************************

“Bun kay sajaway ki zeenat, ae Sajjad-e-Hazeen (A.S),
Choomti hai jink ay qadmon ko ibadat ki jabeen.”
"Zeenat hai ibadat ki, Wali Ibn-e-Wali hai,
Koi aur nahin, apnay zamanay ka Ali (A.S) hai;
Jab paish-e-Khuda koi bhi faryad karay ga,
Maula (A.S), wo dua'on ko teri yaad karay ga."

*****************************************
"Jab ghusl-o-kafan denay lagey Baqar-e-zi-jaah (A.S),
Dekha kay kayi daagh-e-siyaah pusht pay hain, aah,
Ro kar kaha kia cheez pasand aayi hai, ya Shah (A.S),
Iss Shaam kay hadyay ko lyay jatay hain humraah;
Aankhon say jo ta resh lakeerain si ayaan hain,
Chaalees baras ashk bahanay kay nishan hain."
*****************************************

"Ek Shaam ka musafir beemaar-o-na-tawan hai,
Chehra lahu, lahu hai, zakhmon say khoon rawan hai;
Iss qaafilay ko guzray sadiyaan guzar chuki hain,
Aankhon say khoon ab tak beemar kay rawan hai."
*****************************************

"Tu raah-e-imtehan men saabit-qadam raha,
Sajjad (a.s), teray azm say haari hain bairhiyaan;
Kafi hai yeh daleel teri jeet kay lyay,
Khud zaalimon nay thak kay utaari hain bairhiyaan."
*****************************************

"Kaanton ko teri aabla-paayi nay rulaya,
Sehra ko teri aabla-paayi nay rulaya,
Zindan ko teri zakhm-numayi nay rulaya,
Sajjad (a.s) tujhay sari khudayi nay rulaya;
Tujh pay tau wo saa'at bhi qayamat ki gharhi thi,
Jab Sani-e-Zehra (s.a) sar-e-bazar kharhi thi."
*****************************************

"Kitab-e-azm-o-shuja'at hai Syed-e-Sajjad (a.s),
Khuda-e-sabr ki ayat hai Syed-e-Ajjad (a.s);
Wo jis kay sajdon ko sajda namaz karti hai,
Waqar-e-shan-e-ibadat hai Syed-e-Sajjad (a.s)."

*****************************************

"Sitam ko sabr ka kalma parh'hanay aya hai,
Ali (a.s) kay khoon ka jauhar dikhanay aya hai;
Pehan kay hath-karhi, bairhi, Hussain (a.s) ka baita,
Ameer-e-Shaam ko qaidi bananay aya hai."

*****************************************
Wo asar the teri zanjeer ki jhankaro me,
Zalzale aane lage sham ke bazaron me,
Ye tere sabr ki Haibat hai ke sadiyan guzri,
Ab bhi sannata hai bai'at ke talabgaron me.

No comments

Powered by Blogger.