Header Ads

Apni kismat azma kar dekhna- lyrics (Mir Hasan Mir)

Apni kismat azma kar dekhna,
Tum azaa khaana sajaa kar dekhna

Khud munafiq ka pata chal jayega
Nara-e haider laga kar dekhna

Ho agar jannat zami(n) par dekhni
Karbala ek baar jaakar dekhna

Ambiya ko dekhna chaho agar
Halqaye matam me akar dekhna

Tum ko Zehra ki dua miljayegi
Parcham-e- ghazi uthaa kar dekhna

Woh to phir maula Ali hai hashr mei
Martaba Qambar ka aakar dekhna

Chand-e- taare dekhna chaho agar
daagh matam ke sajaakar dekhna

Khushbu e rumal zahra chahiye
ashk majlis me bahakar dekhna

Panjatan mehman khud honge zaki
Farsh majlis ka bichakar dekhna

22 comments:

  1. Apko koi gham Na de siyaye game hussaini ke 😭😭😭😭

    ReplyDelete
  2. Mashallah subhanallah

    ReplyDelete

Powered by Blogger.