Mai Zulfeqar Hoon -Nayaab Hallauri (lyrics)
Main zulfeqar hoon, mai zulfeqar hoon
***************
adam k hath se mujhe saiqal kia gaya,
yusuf k husn se mera chehra liya gaya,
moosa ki haibaton ka ilaqa liya gaya,
aaya qareeb jo bhi mere wo chala gaya,
quran ki tarah arsh se nazil huyi hoon mai.
tab murtaza k hathon k qabil huyi hoon mai.
***************
saye ki tarah rahti hoon hamrah bu-turab,
hai kisme dam jo laye mere waar ka jawab,
tezi pe mere sadqe hain sau jaan se aqaab,
kahte hai log mujhko hawaon ka hamraqaab,
mat samjho mujhko naghmaye be saut ki tarah,
chalti hoon ran me malakul maut ki tarah
***************
mahwar se apne ho nai sakti idhar udhar,
rahti hai mujhpe haidar e qarrar ki nazar,
maidan me hamesha main rahti hoon ba khabar,
aaqa ki bargah se paya hai ye hunar,
rakhti hoon main bhi apne qadam dekhbhal k,
dushman par waar karti hoon shajrah khangal kar.
***************
ghaizo ghazab me nazre uthati hoon jis taraf,
be sar dikhai deti hai ahle sitam ki saf,
fazle khuda se ye bhi mila hai mujhe sharaf,
mahram mujhe samjhte rahe hai shah e najaf,
aati hoon jab bhi deen k dushman ko maar ke,
rakhti hai fatema mera sadqa utar ke.
**************
qudrat k qarkhane me dhali gai hoon mai,
barso qaza ki god me pali gai hoon mai,
dast e khuda k hathon sambhali gayi hoon mai,
ab bahre inteqam chhipai gai hoon mai,
aaungi jab bhi ghaib ki zanjeer tod k,
dushman ali k bhagenge qabro chhor k
***************
waris hai mera warise maula e qayenaat,
allah k karam se abhi tak hai qayenaat,
sunle ye kaan khol k be deen meri baat,
mere ghazab se pa nai sakta koi najaat,
main aungi to uthega ek shor e allama,
jibreel par bichhaenge akhir kahan kahan
***************
mahboob e qirdigar ka pyara hai ghaib me,
maula ali ki ankho ka tara hao ghaib me,
zahra ki hasrato ka minara hai ghaib me,
ab bhi hussainiat ka sahara hai ghaib me,
wo aega to farsh e masarrat bichaungi,
dushman aza k roenge mai muskuraungi.
**************
mehrab me bhi dekhti thi mujhko shah e hejaz,
samjhega mujhko kaise koi munkir e namaz,
kal bhi thi aj bhi hoon zamane me sarfaraz,
umre daraz ka meri nayab hai ye raaz,
sehat mili hai kufr k sar kat kat k,
zinda hoon mai dushmano ka lahu chat chat k..
*************
Umda
ReplyDelete