Aaj Chup Ho Gai Fatima (S.A) - Ayyam e Fatmiyan - Farhan Ali Waris
FATIMA FATIMA (s.a.)
FATIMA FATIMA (s.a.)
Apne Bachon Say Aansoo Chupaye huay
Ro Rahe Hain AliSir Jhukaye Huay
Ghar Hai Weraan Kesi Yeh Raat Agai
Ruk Chuki ahai Sada Haay Tasbeeh Ki
Chor Kay Chal Basee FATIMA
Aaj Chup Ho Gai FATIMA
Mazlooma YA ZAHRA
Mazlooma YA ZAHRA
*************************************
Aaj Chup Ho Gai FATIMA
Har Sitam Sah Chuki FATIMA
Aaj Chup Ho Gai FATIMA
Har Sitam Sah Chuki FATIMA
Aaj Chup Ho Gai FATIMA
Mazlooma YA ZAHRA
Mazlooma YA ZAHRA
*************************************
Jab Bhi Roi Hai Yeh Baap Ki Yad Main
Log Bolay Ali FATIMA Say Kahain
Itna Giryaa Hamein Sonay Deta Nahi
Raat Main Royn Ya Din Main Roya Kare
Ay Madine Kay Logo Suno
Ab Nahi Roy Gi FATIMA
Aaj Chup Ho Gai FATIMA
Mazlooma YA ZAHRA
Mazlooma YA ZAHRA
*************************************
Haal Apna Kisi Ko Suna Na Saki
Is Tarha Dar Gira Kay Utha Na Saki
Bas isi Dard Nay Mar Dala Isay
Apne MOHSIN Ko Bhi Yeh Bacha Na Saki
Zakhmi Pehlu Ka Ghum Bhool Kar
Sirf Roti Rahi FATIMA
Aaj Chup Ho Gai FATIMA
Mazlooma YA ZAHRA
Mazlooma YA ZAHRA
*************************************
Pao Uthte Na Thay Itni Zakhmi Thi Woh
Apne Ghar Main Bhi Ruk Ruk Kay Chalti
Thi Woh
Uski Tooti Hui Theen Sabhi Pasliyan
Kitni Takleef Main Saans Leti Thi Woh
Apne Baba Kay Hi Shehar Main
Kitni Mazloom Thi FATIMA
Aaj Chup Ho Gai FATIMA
Mazlooma YA ZAHRA
Mazlooma YA ZAHRA
*************************************
Gham Say Phat'ta Hai Dil Yeh Batatay
Huay
Jab Tamancha Sitamgar Nay Mara Usay
Hrans Raha Tha Leen Samnay Tha Hasan
Sakht Sadma Tha Yeh Aik Maa Kay Liye
Apna Chehra Chupatay Huay
Khaak Pay Gir Gaee FATIMA
Aaj Chup Ho Gai FATIMA
Mazlooma YA ZAHRA
Mazlooma YA ZAHRA
*************************************
Kab Kisi Ko Bhi Dekha Hai Is Haal Main
Yeh Zaeefa Hai Athaarvay Saal Main
Ghum Uthay Hain Itne Kamar Jhuk Gai
Agai Hai Safedi Har Ek Baal Main
Ab Naا
Aakar Satay Koi
Haan Bohot Thak Chuki FATIMA
Aaj Chup Ho Gai FATIMA
Mazlooma YA ZAHRA
Mazlooma YA ZAHRA
*************************************
Jab AliKay Galay Main Rasan Thi Bandhi
YA AliKah Kah kay Yeh Peche Chali
Zaalimon Say AliKo Churate Huay
Hath Par Tazyane Bhi Khati Rahi
Haan Magar Aaj Rotay Huay
Keh Rahay Hain Ali FATIMA
Aaj Chup Ho Gai FATIMA
Mazlooma YA ZAHRA
Mazlooma YA ZAHRA
*************************************
Ghar Say Zeeshan O Farhan Maiyat Uthee
Qabar Kay Paas Jab Lekay Puhanche Ali
Uthay Do Hath Turbat Say Aayi Sada
Soonp Do Ay AliMujh Ko Beti Meri
Rakh Kay Turbat Main Bolay Ali
Li gye YA NABI (s.a.w.w. ) FATIMA
Aaj Chup Ho Gai FATIMA
Mazlooma YA ZAHRA
Mazlooma YA ZAHRA
************************************
Post a Comment