LANAT BAR DUSHMAN-E-ZAHRA (s.a) - AYYAM-E-FATMIYAH
Ya Zahra(S.A) Ya
Zahra(S.A)
Allah Humma
Laa’an Qatalata Fatima Zahra (S.A)
Ya Zahara(S.A) Ya
Zahra (S.A)
Lanat Bar
Dhusman E Nabi (Saww)
Lanat Bar Dushman
E Ali(A.S)
Lanat Bar
Dushman E Zahra(S.A)
Laanat Bar
Dushman E Zahra(S.A)
----------------------------------------------------------------------
Aey Ahle Aza Aao
Suno Gham Ka Ye Qissa,
Jis Beti Ko Kehte The Nabi Umme Abiha
Ummat Ne Use Bad-E-Nabi Khoob Rulaya
Darbar Me Makhdooma-E-Alam Ko Bulaya
Aaj Talak Roti Hai Duniya, Haan Bari Mazloom Hain Zahra(S.A)
----------------------------------------------------------------------
Kya Ajr-E-Risalat Ye Muhammad (Saww) Ko Mila Hai
Us Ghar Ko Jala Dala, Jahan Deen Pala Hai
Shehzadi Pe Jalta Hua Darwaza Gira Hai
Aey Momino Sar Peeto Ye Gham Sab Se Bara Hai
Ghurbat-E-Haidar Ka Khulasa, Haan Bari Mazloom Hain Zahra(S.A)
----------------------------------------------------------------------
Socho Toh Musalmano Sitam Aysa Hua Kyun
Shehzadi Ko Darbaar Me Bulwaya Gaya Kyun
Siddiqa E Konain Ko Jhutlaya Gaya Kyun
“Mai Jhoot Nahi Bolti” Ye Kehna Para Kyun
Dil Ye Tumhara Bhi Kahe Ga, Haan Bari Mazloom Hain Zahra(S.A)
----------------------------------------------------------------------
Tareekh Me Milta Hai Qayamat Ka Ye Manzar
Jab Ghusl O Kafan Dene Lage Zahra(S.A) Ko Haidar(A.S)
Jis Waqt Nazar Aya Unhe Pehlu Shikasta
Ek Cheekh Uthi Zor Se Rone Lage Maula
Nauha Hai Ye Sher-E-Khuda Ka, Haan Bari Mazloom Hain Zahra(S.A)
----------------------------------------------------------------------
Is Gham Ke Tasawwur Se Larazta Hai Mera Dil
Jo Log Muslaman The Sab Ho Gaye Baatil
Naam Unke Tabarre Me Kiya Karta Hun Shamil
Mohsin(A.S) Ke Bhi Qatil Hain Woh, Zahra(S.A) Ke Bhi Qatil
Hashr Talak Me Toh Kahunga, Haan Bari Mazloom He Zahra(S.A)
----------------------------------------------------------------------
Baad-E-Paighambar-E-Islam Raha Kuch Bhi Nahi
Us Ki Taqdeer Me Matam Ke Siwa Kuch Bhi Nahi
Ma Siwa Dard Ke Daman Me Raha Kuch Bhi Nahi
Haye Kyun Binte Nabi, Ye Sitam Sehti Rahi
Jab Ke Darwaza Gira, Keel Baazu Me Chubhi
Silsila Badhta Gaya, Bass Gayi Karbobala
Chal Gayi Shah(A.S) Pe Chhuri, Aa Gayi
Sham-E-Jafa
----------------------------------------------------------------------
Ek Roz Me Zahra(S.A) Ka Bhara Ghar Hua Barbaad
Mardon Me Faqat Zinda Bache Baqar-O-Sajjad(A.S)
Sab Qaidi Bane Shaam Chale Maai’le Faryaad
Darbar Me Zalim Ke Gayin Zainab-E-Nashaad
Kehti Rahin Saaniy-E-Zahra(S.A) Haan Bari
Mazloom Hain Zahra(S.A)
----------------------------------------------------------------------
Mismaar Baqayyah Me Hua Marqad-E-Zahra(S.A)
Is Gham Me Likha Mazhar-O-Mesum Ne Ye Nauha
Ab Barahve’n Sarkaar(A.S) Banayenge Woh Roza
Phir Hoga Wahan Dushman-E-Zahra(S.A) Pe Tabarra
Goonje Faza’on Me Ye Nauha, Haan Bari Mazloom
Hain Zahra(S.A)
----------------------------------------------------------------------
Qatilan-E-Zahra(S.A) Par, Laanat Laanat
Shimr-O-Hurmala
Par, Laanat Laanat
Dushman-E-Aza
Par, Laanat Laanat
Dushman-E-Wila
Par, Laanat Laanat
Laanat Bar Hinda
Jigar Khwar, Beshumaar Beshumaar
Laanat Bar
Muljim-E-Badkhwar, Beshumaar Beshumaar
Laanat Bar
Yazeed-E-Mai Khwar, Beshumaar Beshumaar
Laanat Bar
Dushman-E-Mukhtar(A)
Laanat Laanat Laanat
Nauhakhwan- Mesum Abbas
Poet- Mazhar Abidi
Ayyam E Fatmiyah 2020
Post a Comment