Header Ads

Maa Maa Hoti Hai - Raza Abbas Zaidi


Waqt Nazdeek Tha akhri Raat Thi,

Zakhmi Zahra Ne Fizza Ko Awaz Di

Aayi'n Fizza To Zahra Ne Rokar Kaha

Ab Tumhare Hawale Hai Sab Ghar Mera

Tum Ko Maloom Hai Mera Haal Ay Behan

Mere Bacchon Ka Rakhna Khayal Ay Bahan

**************************************

Ye Fizza Pukarin Bataye Ye Bibi

Kami Kaise Maa Ki Mai Poori Karungi

Maa Maa Hoti Hai, Maa Maa Hoti Hai.

**************************************

 

Aye Fizza,

Wo Dekhte Hain Tumko To Milta Hai Unko Chain

Amma Pukarti Hai Tumhain Bhi Hasan Or Hussain


Mai Bhooli Nahi Aapka Ghar Chalana

Wo Aik Waqt Me Do Farize Nibhana

Wo Chakki Chalana Wo Jhoola Jhulana

Kabhi Aap Ke Bin Na Guzra Koi Din

Mujhe Amma Fizza Wo Kehte Hain Lekin

Maa Maa Hoti Hai.........

**************************************


Aye Fizza,

Aadat Hai Loriyo'n Ki Mere Dil Ke Chain Ko

Lori Suna Ke Tum Bhi Sulana Hussain Ko


Wo Godi Me Lekar Use Pyar Karna

Wo Kehna Mere Laal Soja Husaina

Wo Awaz Sunte Hi Bete Ka Sona

Mai Jab Usko Lori Sunaungi Bibi

Kahan Se Wo Awaz Laungi Bibi

Maa Maa Hoti Hai.........

**************************************


Aye Fizza,

Lagti Hai Bohat Pyas Mere Hussain Ko

Uth Uth Ke Shab Me Pani Pilana Hussain Ko


Ho Pyasa To Pani Pila Dungi Bibi

Mai Khana Bhi Us Ko Khila Dungi Bibi

Sawere Mai Chehra Dhula Dungi Bibi

Gale Se Lagaoun Wo Rothe Manaoun

Magar Maa Ki Khushboo Kahan Se Mai Laaoun

Maa Maa Hoti Hai.........

**************************************


Aye Fizza,

Zalim Ne Dar Jala Kar Meri Godh Ujarrh Kar

Aik Nasl Khatm Ki Mere Mohsin Ko Mar Kar


Ay Bibi Wo Dar Jab Utthaya Tha Mai Ne 

Shikhasta Hai Pehalu Ye Dekha Tha Maine

Wo Jab Aap Se Haal Pocha Tha Maine

Na Ghum Pasliyon Ka Na Pehlu Ka Sadma,

Thi Ye Fikr Mohsin Na Mar Jaye Mera

Maa Maa Hoti Hai.........

**************************************


Aye Fizza,

Jb Bhi Hasan Ke Samne Jati Hai Fatima

Haathoun Se Apne Gaal Chupati Hai Fatima

Kaha Ro Ke Fizza Ne Ay Shahzadi

Wo Chup Chup Ke Rota Hai Ghurbat Pe Maa Ki

Nishan Unglioun Ke Hain Chehre Pe Ab Bhi

Janaze Pe Aa Ke Wo Chehra Jo Dekhe

Me Us Waqt Us Ko Sambhalungi Kaise

Maa Maa Hoti Hai.........

**************************************


Aye Fizza,

Beparda Layi Jaengi Bazar Betiyan

Meri Tarha Se Darbar Jaingi Betiyan

Unhe'n Shamiyoun Se Bacha Loongi Bibi

Mai Haathoun Ko Chadar Bana Loongi  Bibi

Unhain Apne Peeche Chupa Loongi  Bibi

Khule Sar Wo Haye Wo Darbar Jaye 

Chali Aayega Jo Zainab Bulaye

Maa Maa Hoti Hai.........

**************************************


Tasbeeh Kar Rahi Thi Jo Awaz Kho Gai

Thak Kar Ghamo'n Se Fatima Khamosh Ho Gai

Janaze Pe Zahra Ke Dekha Ye Manzar

Kaha Jab Shabbir Ne Maa Se Ye Ro Kar

Ay Amma Bulalo Hai Bechain Dilbar

Ye Sun Ke Kafan Se Uthe Haath Maa Ke

Ye Fizza Ne Dekha Tu Bolin Ali Se

Maa Maa Hoti Hai.........

**************************************


Raza Or Zeeshan Kaisa Sama Tha

Wo Jab Shimr Ne Shah Par Khanjar Chalaya

Pohanch Kr Maqtal Me Fizza Ne Dekha

Pisar Ke Sarhanay Kaha Fatima Ne

Lahad Chhorrh Ayi Houn Tujh Ko Bachanay

Maa Maa Hoti Hai.........

**************************************

No comments

Powered by Blogger.