Ya Mazlooma Ya Zahra - Mazar E Fatima (s.a.) - Nadeem Sarwar - Ayyam E Fatmiyah Lyrics
Ya Zahra Ya Zahra Ya Zahra
Ya Zahra Ya Zahra Ya Zahra
Ya Zahra Ya Zahra Ya Zahra
Dekho Mazar Fatima Kitna Udas Hai
Ya Mazlooma Ya Zahra
Ya Masooma Ya Zahra
Ya Mazlooma Ya Zahra
Ya Masooma Ya Zahra
Ya Zahra Ya Zahra Ya Zahra
Ya Zahra Ya Zahra Ya Zahra
Ya Zahra Ya Zahra Ya Zahra
Dekho Mazar E Fatima Kitna Udas Hai
Bas Ek Nishan E Sang Hi Turbat Ke Pas Hai
Mehroom Chumne Se Bhi Har Haq Shanas Hai
Bole Zamane Dega Bhala Kya Jawab Tu
Mehshar Me Mustafa Ke Jab Ayega Rubaru
Allah Re Ye Fatima Zahra Ki Bekasi
Ek Shamma Bhi Jalane Ko Aya Nahi Koi
Tanha Hai Ek Goshe Me Beti Rasool Ki
Charon Taraf Madine Me Phaili Hai Raushani
Tute Huye Mazar Se Lipati Hai Bekasi
Bole Zamane Ke Tere Daman Me Kuch Na Tha
Zehra Ne Har Namaz Me Di Hai Tujhe Dua
Tu Ek Tuti Qabr Hi Zehra Ko De Saka
Jab Dekhte Hai Ujadi Hui Qabr E Sayyada
Lagta Hai Jaise Dhoop Me Baithi Hai Fatima
Zehra Wohi Keh Jiske Pisar Hai Hasan Hussain
Zehra Wohi Keh Jiske Hai Shohar Sheh E Hussain
Zehra Wohi Keh Jo Dil E Payambari Ka Chain
Aisa Luta Ye Chain Ke Ghar Bar Lut Gaya
Ek Dil Tha Fatima Ko Jo Sau Bar Kat Gaya
Pahlu Me Apke Hai Hasan Zain Al Abideen
Baqir Bhi Aur Jafar E Sadiq Bhi Hai Yahin
Haye Kissi Ki Qabr Salamat Bhi Ab Nahi
Mehshar Me Apna Dard Sunaengi Fatima
Ummat Ne Jo Kia Hai Bataengi Fatima
Ghurbat Rasool Zadi Ki Padhti Hai Marsiya
Hasrat Se Takta Rehta Hai Rauza Rasool Ka
Ankhon Me Askh Cheekhte Hai Wa Mohammada
Farsh E Azza Bichane Ko Aa Jaye Imam
Zehra Ka Gham Manane Ko Aa Jaye Imam
Bibi Tumhare Lal Ke Ghamkhwar Aye Hai
Jane Kahan Se Azadar Aye Hai
Nauha Sunane Apke Zawwar Aye Hai
Yeh Aarzu Thi Ankhon Se Mati Lagayenge
Socha Na Tha Ke Fateha Padhne Na Paenge
Zawwar Chup Hai Sara Baqiya Udas Hai
Karbobala Khamosh Madina Udas Hai
Har Ek Nabi Ka Chahne Wala Udas Hai
Bibi Ko Qabr Me Bhi Sukoon Hai Na Chain Hai
Hai Pasliyon Pe Hath Zaban Par Hussain Hai
Post a Comment