Abbas (as) Kate Hathon Ka Aijaz Dikhado - Lyrics
Abbas Kate Haathon Ka Aijaz Dikha Do
Din Mere Palat Do Meri Taqdeer Banaa Do
Mai Bekas O Majboor Hoon Naachar Hoon Aaqa,
Muflis Hoon Tah E Dasht Hoon Naadar Ho Aaqa,
Alaam O Masaeeb Me Giraftaar Hoon Aaqa,
Is Waste Nusrat Ka Talab Gaar Hoon Aaqa
--------------------------------------------------------------------
Mushkil Me Ghareeb’on Ke Madadgaar Tumhi Ho,
Har Bekaso Be Yaar Ke Ghamkhwar Tumhi Ho,
Farzaand E Yadullah Ho Muqtaar Tumhi Ho,
Fauj E Shah E Bekas Ke Alamdar Tumhi Ho.
--------------------------------------------------------------------
Allah Ne Baksha Hai Tumhe Rutba E Aali,
Mohtaaj Ke Data Ho To Bekas Ke Ho Waali,
Tum Babul Hawaej Ho Zamana Hai Sawaali
Mai Bhi Hoon Gadaa Aur Mera Daaman Bhi Hai Khaali.
--------------------------------------------------------------------
Aye Nasir E Deen Sarwar E Mazloom Ka Sadqa,
Aye Haami E Deen Zainab O Kulsoom Ka Sadqa,
Besheer Ke Sukhe Huwe Hulkhoom Ka Sadqa,
Sajjad Ka Aur Baqer E Masoom Ka Sadqa.
--------------------------------------------------------------------
Har Simt Se Mujh Per Hai Musibat Ki Chadhaai,
Apne Gham O Alaam Hai Khushiyaan Hai Parayi,
Har Raahat E Duniya Ne Nazar Mujhse Phiraayi,
Dil Deta Hai Ro Ro Ke Sakina Ki Duhaii..
--------------------------------------------------------------------
Agha Shah E Mazloom Ki Tauqeer Ki Sadqa,
Bechaargi E Zainab Dilgeer Ka Sadqa,
Darbaar Mei Goonji Huwi Taqreer Ka Sadqa,
Beemar Se Lipti Huwi Zanjeer Ka Sadqa.
--------------------------------------------------------------------
Zindaan Mein Tadpti Hui Bacchi Ka Tasadduq,
Binte Shahe Bekas Ki Yatimi Ka Tasadduq,
Tum Jiske Ho Saqqa Usi Pyasi Ka Tasadduq,
Ho Mujhpe Karam Ab Toh Bhatiji Ka Tasadduq.
--------------------------------------------------------------------
Saqqaye Haram Shame Ghariban Ka Tasadduq,
Bae Gouro Kafan Shahe Shahidaan Ka Tasadduq,
Namoos Ke Gesuye Parishaan Ka Tasadduq,
Saidaniyon Ke Chehraye Uriyaan Ka Tasadduq.
--------------------------------------------------------------------
Aaqa Ye Kaneez Apna Kise Haal Sunaye,
Kaun Aisa Hai Toota Huwa Dil Jisko Dikhaaye,
Apne Bhi Nazar Aane Lage Ab To Paraye,
Hai Kaun Tumhare Siwa Bigdi Jo Banaye
--------------------------------------------------------------------
Abbas Kate Haathon Ka Ejaz Dikha Do
Din Mere Palath Do Meri Taqdeer Banaa Do
--------------------------------------------------------------------
--------------------------------------------------------------------
Post a Comment